azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

kishore kumar – saagar jaisi aankhonwali lyrics

Loading...

[chorus]
o, chehra hai ya chand khila hai
zulf ghaneri shaam hai kya
sagar jaisi aankhon waali
ye to bata tera naam hai kya

chehra hai ya chand khila hai
zulf ghaneri shaam hai kya
sagar jaisi aankhon waali
ye to bata tera naam hai kya

[verse 1]
are, tu kya jaane teri khatir
kitna hai betaab ye dil
tu kya jaane dekh raha hai
kaise+kaise khwaab ye dil

dil kehta hai tu hai yahan to
jata lamha tham jaaye
waqt ka dariya behte behte
is manzar mein jam jaaye

[pre+chorus]
toone deewana dil ko banaya
is dil pe ilzam hai kya
[chorus]
sagar jaisi aankhon waali
ye to bata tera naam hai kya

[verse 2]
o, aaj main tujhse door sahi
aur tu mujhse anjaan sahi
tera saath nahin paaoon to
khair tera armaan sahi

o, ye armaan hain shor nahi ho
khamoshi ke mele hon
is duniya mein koi nahi ho
hum dono hi akele hon

[pre+chorus]
tere sapne dekh raha hoon
aur mera ab kaam hai kya

[chorus]
sagar jaisi aankhon waali
yeh to bata tera naam hai kya

[chorus]
chehra hai ya chand khila hai
zulf ghaneri shaam hai kya
sagar jaisi aankhon waali
yeh to bata tera naam hai kya



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...