lata mangeshkar & mohammed rafi – kabhi raat din lyrics
kabhi raat-din hum dur the,
din-raat ka abb saath hai
kabhi raat-din hum dur the,
din-raat ka abb saath hai
woh bhi itefaaq ki baat thi,
yeh bhi itefaaq ki baat hai
woh bhi itefaaq ki baat thi,
yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the
teri aankh me hai khumaar sa,
meri chaal me hai surur sa
teri aankh me hai khumaar sa,
meri chaal me hai surur sa
yeh bahaar kuchh hai piye huye,
yeh sama nashe me hai chur sa
yeh sama nashe me hai chur sa
kabhi in fijaao me pyaas thi,
abb mausam-e-barsaat hai
woh bhi itefaaq ki baat thi,
yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the
mujhe tumne kaise badal diya,
hairaan hu main is baat par
mujhe tumne kaise badal diya,
hairaan hu main is baat par
mera dil dhadakta hai aajkal,
teri shaukh najaro se puchhkar
teri shaukh najaro se puchhkar
meri jaan kabhi mere bas me thi,
abb jindagi tere haath hai
woh bhi itefaaq ki baat thi,
yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the
yu hi aaj tak rahe hum juda,
tumhe kya mila hame kya mila
yu hi aaj tak rahe hum juda,
tumhe kya mila hame kya mila
kabhi tum khafa, kabhi hum khafa,
kabhi yeh gila, kabhi woh gila
kabhi yeh gila, kabhi woh gila
kitne bure the woh din sanam,
kitni hasin yeh raat hai
woh bhi itefaaq ki baat thi,
yeh bhi itefaaq ki baat hai
kabhi raat-din hum dur the,
din-raat ka abb saath hai
kabhi raat-din hum dur the
Random Lyrics
- status quo – down down (hammersmith apollo, london 15th-16th march 2013) lyrics
- frank lee white – a song about weed lyrics
- project pat – i like to smokeaaaa lyrics
- alec troniq – mind doodles lyrics
- paul mcdonald & nikki reed – all i’ve ever needed lyrics
- incertus – i’m still sorry (single version) lyrics
- santiago cruz – album versión lyrics
- monica – saints and sinners lyrics
- os paralamas do sucesso feat. djavan – uma brasileira lyrics
- kartellen feat. lil star – förortsdemon lyrics