azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

mahendra kapoor – bharat ka rahnewala hoon lyrics

Loading...

[intro]
jab zero diya mere bharat ne
bharat ne mere bharat ne
duniya ko tab ginti aayi
taaron ki bhasha bharat ne
duniya ko pehle sikhlai
deta na dashamlav bharat to
yoon chaand pe jana mushkil tha
dharti aur chaand ki doori ka
andaza lagana mushkil tha

sabhyata jahan pehle aayi
sabhyata jahan pehle aayi
pehle janmi hai jahan pe kala
apna bharat wo bharat hai
jiske peeche sansar chala
sansar chala aur aage badha
yoon aage badha, badhta hi g+ya
bhagwan kare ye aur badhe
badhta hi rahe aur phoole phale
badhta hi rahe aur phoole phale

(chup kyun ho gye?)
(aur sunaao)

[chorus]
hai preet jahan ki reet sada
hai preet jahan ki reet sada
hai preet jahan ki reet sada
main geet wahan ke gaata hoon
bharat ka rehne wala hoon
bharat ki baat sunata hoon
hai preet jahan ki reet sada
[verse]
kaale gore ka bhed nahi
har dil se humara naata hai
kuch aur na aata ho humko
humein pyar nibhana aata hai
jisе maan chuki sari duniya
o jise maan chuki sari duniya
main baat…
main baat wohi dohrata hoon

[chorus]
bharat ka rehne wala hoon
bharat ki baat sunata hoon
hai preet jahan ki reet sada

[verse]
jeetе ho kisi ne desh toh kya
humne toh dilon ko jeeta hai
jahan ram abhi tak hai nar mein
naari mein abhi tak sita hai
itne paawan hai log jahan
o itne paawan hai log jahan
main nit+nit..
main nit+nit sheesh jhukata hoon

[chorus]
bharat ka rehne wala hoon
bharat ki baat sunata hoon
[instrumental+break]

[verse]
itni mamta nadiyon ko bhi
jahan maata kehke bulatein hai
itna aadar insaan toh kya
patthar bhi puje jaate hai
us dharti pe maine janam liya
ho, us dharti pe maine janam liya
ye soch…
ye sochke main itrata hoon

[chorus]
bharat ka rehne wala hoon
bharat ki baat sunata hoon
hai preet jahan ki reet sada



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...