azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

meemalif – zindagi bus chaar din lyrics

Loading...

intro:
thi paiso ki kami woh ghareeb na tha
uska dil tha ameer badnaseeb na tha
bayzameer na tha, woh khuddaar tha
allah k siwa kisi ko na pukar ta
dhutkaarta wo sab rasmon riwaj
badlta raha waqt uska na badla mizaaj
rabbi zidni ilma lab rehti yehi dua
ab woh hochuka jawaan uske mu pe nahi ruwaan

intrelude:
uske dil main nahi bughz
woh bus rehna chahta khush
nahi dena chahta dukh
woh bus rehna chahta khush
verse:
janay anjanay laga kuch bura, karna maaf
laga kuch acha to kerna yaad, or faryaad
basi thi dil main ab honay wali hai woh poori
mukammal zindagi meri thi kabhi adhoori
ghaflat k saye talay, zindagi guzar rahi thi
kiya acha kiya tha bura tab shayad samjh nahi thi
chata kerna mukhtalif tha main bachpan se hi
ab main chabbees or soch meri pachpan c
guzar rahi umar waqt nahi yeh tham raha
tu bhi samjhta humko humen bus yeh ghum raha
num raha ankhon ka meri yeh mausam
khabon main apne aj bhi main tujhe sochraha
nochraha khudse tere wujood ko
dil kerta mera k hojaon main roopoosh
per kandhon pe zimmedari, amma abba or gharwali
or ghoro fikar kero yeh baat kitni niraali
ushe ki wah wah jiski sab se bari gari
jiski jaib hai sab se bhari, uski shakal sab se pyari
mera jeetna mushakil per haar nahi maani
ganay pe ganay likhra, kiya apnе suna hai kahani?
meray lafzon main rawani ooper walay ki dain
main kerun naam roshan khush horahе waldain
darling dena zara ball pen likhraha main wasiyat zindagi bus chaar din

outro:
zindagi bus chaar din ki, phir matti ki dheri
bari zalim kehlati yeh duniya jo tehri
is se bach ke rehna yahan pe kamana
waqt ko mushkil or asaan hai gawana



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...