azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

mob d – mvp (a cappella) lyrics

Loading...

kaali kartut , karein corrupt karamchaari
kandi karam kaand karein kukhyaat vyapaari
khaki vardi ab , khoje khaak
ye khaali khopdi khajjal bune
khokle kwaab
samaaj soche soch simit 
in saanpo ke beech kewal reh-sakta sapera hi jivit
hota hai dukh dekh desh ki dur-dasha
dai-niya halat , faila hai dwais har jagah
sarkaar sarvo-pari , fir bhi antankwaadiyon mai paisa kharch hote hai blatkaari bari
bade hi chor chalaak chatur ye neta
chaaploos chamche chahein ban-na inka chaheta
laalchi log lubhayein , dekar lalach
lagbhag lapete mai lene ke baad loot hojayein g-yab
to khabardaar , kadardaan gar tu khara to khatre mai teri hai jaan
gar tu dara to tujhe dabana asaan

ye panktiyan paripakwa pasare pankh parajit karne ko prayaapt punches jehrile dansh
mujhse thoda sa rakhein banaye duri
mai behad ki dust aka 56 churi
ji janaab jag mai jaana jau yhi hai kwaab
mehnat karun kadi manzil paane ko baitaab
lekin path mai paine katein hai pathik
pag pehle parakh , pusti kar tabhi rakh
kyuki kayanaat kaher dhaye gar tu
kambaabi ke kabil na ban paye

verse2

halanki ye dunia rangeen , kintu meri rang-heen
jaise kiya ho maine koi , jurm sangeen
hona kaamyaab chahe keemat ho jo bhi
mere pehlu do jaise mai bhediya va kobi

pyaar ka lo-bhi , na hi mai kisi ka heera ya moti
aapne hi samjhein panoti khari na utri kasoti
saage sambandhi sabse shatir shatru
shanti se safaya kardein tera , syaina na gar-tu

fark sirf najariya , mai ek dariya jiska na dayra
ek zariya jiska kewal ek maksad
khali-bartan karein na shor pari-vartan laau is had-tak
baaki hidayatein dete hazaar , mai bolun kisi roz nibhayein wo mera kirdaar
or jaane mera dard mera sanghars , mai kaise jiyu bayan kare ye verse
mano zindagi ho karz , kuch ek dino mai kharch

aant-taha , mirtyu hi manzil , leke aaya kya tune leke jaana kya



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...