azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

rapper shaz – bayaan lyrics

Loading...

intro

mai shahroz ahmad ye wachan deta hoon ki aaj iss gaane ka har ek shabd shat pratishat sacchai hoga

mai shahroz ahmad aaj ishwar ko sakshi maanke ye prann leta hoon ki mai apne sangeet mein aapatti janak shabdon ka prayog na karne ki poori koshish krunga

verse

baatein jo dabi hai kaise nikalu mai
baatein jo andar hai kaise krun bayaan?
saaya ye chaaya ye kaali si raatein
kaala sa baadal ye kaali si baatein

likhne laga tha jab chauthi mein tha mai
likhta tha jab sookhta tha halaq
likhta tha jab darne laga tha raaton se
likha tha jab dekhi uski jhalak

aaj likhne se mai darta kyun hoon?
bata na dun kahin nizi kahani
aaj dikhne se mai darta kyun hoon?
yaad na aaye kahin baatein purani

aaj likhta hoon main logon pe kyunki
in logon ne hi banaya hai mujhko
life was sh+t akela tha mai
jaane ab kya kya bataun mai tujhko?
akela tha mai logon se door
sar zameen mai aur tha mai mazboor
chup raha mai phir hui judaai
bolne lagi thi meri likhaayi

akela tha mai wo rahe the ghoor
ghor andhеra yeh kaisi noor?
akele mеin khud se hi karta tha baatein
akeli thi raatein khud se hi vaadein

chup rehte rehte mai bolne laga tha
gumshuda khud ko hi khojne laga tha
baatein phir karne laga tha alag
baatein aisi ki sukhaye halak

baatein krun doob jaaun nashe mein
aakhon se bah yeh aansu yaa khoon?
darun unse ya phir likhun maze mein?
gumshuda apne alfaazon ko dhoond

krun mai kya? tu hi bata
jaane khud ko kaise doon mai saza?
kahun mai kya? tu hi bata
chup rehne ki mujhko de do wajah

kahun mai kya? kaise kahoon?
alfaazon pe mere taale hai kyun?
marun mai kya? kaise jiyun?
gaddar hi gaddi sambhaale hai kyun?
kaise na karun mai bayaan
karte ye kaam galat
messiah bana mai naya
faasi se latka halaq

jhoote hai inke vaadein
choti hai inki soch
sach bolde koi
khate hai unhe noch

dekhun mai kya? kya mai dikhaun?
saaya hoon mai mai tujhme samaun
nidar hoon mai na khauf hai maut ka
kafan hai sar pe mai arthi uthaun

gaane pe gaane gaano mein sacchai
gaane hi gaane de kuch na dikhai
viral hua 2019 mein
18 hai umar aur maine machai

shaz!



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...