azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

sarmad rao – uth jaa – why not meri jaan lyrics

Loading...

uth jaa aankhen khol, fikar dunya ki tu chor
get yourself on the road, jaana hai tujhe bohat aag+y
karte tujh pe jo shak un sabko yeh dikhade
parvaaz unchi rakh, puri kehkashan hilade

rukawatein ukhaarde, dar ko apne maarde
afsoos na kar haar pe, kismat ko nikhaar de
jeena ek baar hai, tu zindagi sawar le
jang ka maidaan yeh, tu jhanda apna gaarde

karta khud ki madad jo bhi, rab usi ka saath de
hon mushkil jitne raaste, hatio na tu path se
yeh dunya tere hath mein, mushkilon ko maat de
nikal apni talaash mein, karle jang halaat se
mat dar tu unchaion se , karke dekh tou fly kabhi

faliure asal wo hai jisne na kiya try kabhi
passion se na kar shy kabhi, faliure pe na kar cry kabhi
hai nahi bohat dur, tu chuke dеkh sky kabhi
tu aag hai, angaar hai, pahar ki chattan

tu ab bhar aisi uraan, ke jhukay yeh aasman
tu bas apne dil ki maan, kardе dunya ko hairan
hoga har jaga elan, why not meri jaan
hongi mushkilen asaan, khuda hoga meharbaan
jana tujhe hai urooj per had hai aasman
teri mehnat ki gawai dega sara yeh jahaan
dede sabko yeh paigham, why not meri jaan
tu karega khud bayaan, zindagi ki dastaan

in koshishon ka tujhe ik din milna hai inaam
bas khwabon ko apne kabhi kario na qurbaan
koi mushkil nahi kaam, why not meri jaan



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...