azlyrics.biz
a b c d e f g h i j k l m n o p q r s t u v w x y z 0 1 2 3 4 5 6 7 8 9 #

uday (ind) – naseeb lyrics

Loading...

[verse 1]
tu mujhse aakhri baar aaj mil le
main gunah sare maanluga
mere saamne woh boli kuch na badal sakta ek din mein
wahi par woh le kar ek tarazun 6 saal toli chaar din se
teri galtiya sab chhod di
mile kaafi saalo baad par gale jab lagaaya tab dikha humein kuchh aur nahi
jin jagaho par milte thae woh jagahe bhi maun thi
woh surya uday kya jiske baad na koi roshni
kya hamare sur nahi lage
jo 6 saal hum sune kya tum dono woh gaane sunne lage
jo ulajh chuke thae kya tum woh jaale bunne lage
kya bas 4 din mein uske naam ke taane sunne lage
khair kya ab uske saath bhi alag hai din
ye duniya chhoti si usse toh tera bada hai dil
par kya sirf chaar din mein jisse woh taare bhi hai sharma jaate
dikhaye tumne usko apne badan ke til

[chorus]
kya tu mere naseeb mein nahi hai
kya tu mere naseeb mein nahi hai
woh dooriyan bhi dooriyon ko bole humein dekh kar ki dooriyan bhi janmo se kareeb hi rahi hai
kya tu mere naseeb mein nahi hai
kya tu mere naseeb mein nahi hai
woh dooriyan bhi dooriyon ko bole humein dekh kar ki dooriyan bhi janmo se kareeb hi rahi hai
[verse 2]
ye teri meri aisi dil lagi ek
tu zindagi toh umar se zyada toh dekh chuka zindagi main
par ab hum iss tareeke se dekhe tab toh meri aatma na shaant aur ab khoya apni zindagi ek
mujhe na yakeen hai ki
ab jab ye kaape sharir toh tum na saath ye lakir mit ti
ye thi vinti bola kardun thik 4 din mein sab par na pata tha ki zindagi bachi 3 din ki
main bola tujhe jana na please
ab ghar bhi ghar jaisa na lagta tu boli use banadugi thik
tere ghar mein tu boli ghar mera bhi
to kam se kam phir mujhse tu ab meri maa ko na chheen
ab unke liye sab kardun
main unse karta pyaar itna zyada jitni khud se karta nafrat hoon
main kambakht hoon maana tujhe main kam waqt dun
par jab tak hoon tab tak tu meri khuda
mere liye toh barkat tu
khud se kitna bhaagoge
jab main hi tum aur tum hi main toh kya tum meri laash ko khudke kafan mein baandhoge
tum dil mein chura daaloge par maafi tab bhi maanguga ki khoon lag g+ya ab tere haathon pe

[chorus]
kya tu mere naseeb mein nahi hai
kya tu mere naseeb mein nahi hai
woh dooriyan bhi dooriyon ko bole humein dekh kar ki dooriyan bhi janmo se kareeb hi rahi hai
kya tu mere naseeb mein nahi hai
naseeb mein nahi hai
naseeb mein nahi hai
vo dooriyan bhi dooriyon ko bole humein dekh kar ki dooriyan bhi janmo se kareeb hi rahi hai



Random Lyrics

HOT LYRICS

Loading...